Intro

Ramzan ka mahina sirf roza rakhne ka nahi, balki apni sehat ka bhi khayal rakhne ka hota hai. Agar hum sehri mein galat cheezein aur iftar mein zyada bhari khana kha lete hain, to kamzori, gas, acidity aur thakaan hona aam baat hai.
Is article mein hum simple bhasha mein samjhenge ki ramzan m sehri or iftar ka diet kaisa ho jisse roza bhi aasaan lage aur sehat bhi bani rahe
Ramzan mein Sehri ka Diet (Subah ka Khana)
Sehri ka khana din bhar ki energy ka base hota hai. Isliye sehri mein halka, poshtik aur lambe samay tak energy dene wala khana khana chahiye.
Muat Read : बच्चों में बुखार का सिरप लिस्ट
Sehri mein best kya khaye:

- Roti / oats / daliya
- Sabzi (lauki, tori, bhindi)
- Dahi (pachan ke liye best)
- 1–2 khajoor
- Doodh ya anda
-
Thode bhige hue badam
Sehri mein kya avoid kare:
- Zyada namak
- Tel‑masaledar khana
- Zyada chai ya coffee
Ramzan mein Iftar ka Diet (Shaam ka Khana)
Iftar ke waqt bhookh zyada hoti hai, lekin sabse zyada galti yahin hoti hai. Ramzan m sehri or iftar ka diet ka sabse important rule hai – iftar dheere aur sahi cheez se shuru kare.
Must Read : बच्चों को बार‑बार मुंह में छाले क्यों आते हैं
Iftar ka sahi tarika:
- 1–2 khajoor + pani
-
5 minute ka break
Iftar mein kya shamil kare:
- Fruit chaat
- Chana chaat / sprouts
- Soup
- Salad
-
Thodi matra mein pakode
Iftar mein kam kare:
- Zyada tale hue items
- Bahut meetha
- Cold drinks
Must Read : Viral fever me bacchon ko kaunsi dawa di jati hai
Sehri – Iftar Healthy Food Chart (Ramzan Diet Chart)
Sehri Food Chart
| Food | Fayda |
|---|---|
| Oats / Daliya | Lambi energy |
| Roti + Sabzi | Pet halka rahe |
| Dahi | Pachan strong |
| Khajoor | Natural energy |
| Doodh / Anda | Protein ke liye |
Iftar Food Chart
| Food | Fayda |
|---|---|
| Khajoor + Pani | Turant energy |
| Fruit chaat | Vitamins |
| Chana chaat | Protein + fiber |
| Soup | Hydration |
| Salad | Digestion |
Pani aur Hydration ka dhyaan
- Iftar se sehri ke beech 8–10 glass pani
- Lemon pani, nariyal pani best
- Ek saath zyada pani na piye
Ramzan mein sehatmand rehne ke simple tips
- Dheere‑dheere khana khaye
- Namaz ke baad halki walk
- Junk food kam rakhe
- Neend poori le
Conclusion
Agar ramzan m sehri or iftar ka diet sahi tarike se follow kiya jaye, to roza rakhna aasaan ho jata hai aur sharir bhi fit rehta hai. Thoda sa discipline aur sahi khane ka chunaav aapko poore Ramzan energetic rakhega.