Introduction
Khansi ek aam si problem lagti hai, lekin har khansi ek jaisi nahi hoti. Aksar log bina soche‑samjhe ek hi syrup ya tablet le lete hain, jisse khansi theek hone ke bajay aur bigad jaati hai.
Is article mein hum asaan bhasha mein samjhenge ki konsi khansi m konsi dawa leni chahiye, taaki aap galat medicine se bachein aur sahi ilaj kar saken.
Khansi Kitne Prakar Ki Hoti Hai?
Khansi ko samajhne ke liye pehle ye jaanna zaroori hai ki aapko kaunsi type ki khansi hai.
1.Sukhi Khansi (Dry Cough)
Lakshan:
- Balgam nahi nikalta
- Gale mein kharash
- Raat mein zyada khansi
- Bolne ya hansne par khansi
Must Read :Ramzan m Sehri Or Iftar Ka Diet, Sehatmand Roza Rakhne Ka Aasan Tarika 2026
2.Gili Khansi (Wet Cough)
Lakshan:
- Balgam nikalta hai
- Seene mein jamav
- Subah zyada khansi
Must Read : बच्चों को बार‑बार मुंह में छाले क्यों आते है
3.Balgam Wali Khansi
Lakshan:
- Peela ya hara balgam
- Seene mein bharipan
- Kabhi‑kabhi bukhar
Must Read :बच्चों में बुखार का सिरप लिस्ट
4.Allergy Ki Khansi
Lakshan:
- Dhool, mitti, thandi hawa se khansi
- Chheenk aana
- Naak bahna
Konsi Khansi Mein Konsi Dawa Leni ChahiyeComplete Medicine
| Khansi Ka Type | Lakshan | Common Brand Name | Salt / Composition | Use |
|---|---|---|---|---|
| Sukhi Khansi (Dry Cough) | Balgam nahi, gale mein kharash | Corex DX | Dextromethorphan + CPM | Khansi dabane ke liye |
| Benadryl DR | Dextromethorphan + Diphenhydramine | Raat ki khansi | ||
| Chericof‑D | Dextromethorphan + CPM | Dry cough | ||
| Grilinctus | Dextromethorphan + CPM | Allergy + dry cough | ||
| Gili Khansi (Wet Cough) | Balgam aata hai | Ascoril Expectorant | Ambroxol + Guaiphenesin + Salbutamol | Balgam nikalne ke liye |
| Benadryl Expectorant | Diphenhydramine + Ammonium Chloride | Chest congestion | ||
| Bro‑Zedex | Bromhexine + Guaiphenesin | Wet cough | ||
| Ambrodil‑S | Ambroxol + Salbutamol | Thick balgam | ||
| Balgam Wali / Infection Khansi | Peela/green balgam, bukhar | Mucinac | Acetylcysteine | Balgam patla kare |
| Ambrolite | Ambroxol | Mucus clear | ||
| Azithral* | Azithromycin | Bacterial infection | ||
| Augmentin* | Amoxicillin + Clavulanic Acid | Severe infection | ||
| Allergy Ki Khansi | Chheenk, naak bahna | Cetzine | Cetirizine | Allergy control |
| Levocet | Levocetirizine | Dust allergy | ||
| Montek‑LC | Montelukast + Levocetirizine | Night allergy cough | ||
| Allegra | Fexofenadine | Seasonal allergy | ||
| Raat Ki Khansi | Sirf raat mein khansi | Montek‑LC | Montelukast + Levocetirizine | Allergy/asthma |
| Grilinctus | Dextromethorphan + CPM | Night cough | ||
| Bacchon Ki Khansi | Age ke hisaab se | Alex Junior | Dextromethorphan (low dose) | Dry cough |
| Ascoril LS (Paed) | Ambroxol + Levosalbutamol | Wet cough | ||
| Zedex Baby | Bromhexine + Guaiphenesin | Chest cough |
- Note :
Ye medicines aam taur par doctors use karte hain, lekin dawa lene se pehle doctor ki salah zaroori hai.
Important Warning
- Sukhi khansi ki dawa gili khansi mein nahi leni chahiye
- Antibiotic khud se kabhi na lein
- Bacchon ko adult medicine na dein
Advice
Har khansi alag hoti hai. Isliye sirf brand dekhkar nahi, pehle khansi ka type samajhna zaroori hai. Sahi dawa sahi time par li jaye, to khansi jaldi theek hoti hai.
Medical Disclaimer
Yeh medicines list sirf general awareness ke liye hai. Kisi bhi dawa ko shuru karne se pehle doctor ya qualified medical professional se salah lena zaroori hai.