Konsi Khansi Mein Konsi Dawa Leni Chahiye : Khansi Ke Type Aur Sahi Ilaj

Introduction
Khansi ek aam si problem lagti hai, lekin har khansi ek jaisi nahi hoti. Aksar log bina soche‑samjhe ek hi syrup ya tablet le lete hain, jisse khansi theek hone ke bajay aur bigad jaati hai.
Is article mein hum asaan bhasha mein samjhenge ki konsi khansi m konsi dawa leni chahiye, taaki aap galat medicine se bachein aur sahi ilaj kar saken.

Khansi Kitne Prakar Ki Hoti Hai?

Khansi ko samajhne ke liye pehle ye jaanna zaroori hai ki aapko kaunsi type ki khansi hai.

1.Sukhi Khansi (Dry Cough)

Lakshan:

  • Balgam nahi nikalta
  • Gale mein kharash
  • Raat mein zyada khansi
  • Bolne ya hansne par khansi

Must Read :Ramzan m Sehri Or Iftar Ka Diet, Sehatmand Roza Rakhne Ka Aasan Tarika 2026

2.Gili Khansi (Wet Cough)

Lakshan:

  • Balgam nikalta hai
  • Seene mein jamav
  • Subah zyada khansi

Must Read : बच्चों को बार‑बार मुंह में छाले क्यों आते है

3.Balgam Wali Khansi

Lakshan:

  • Peela ya hara balgam
  • Seene mein bharipan
  • Kabhi‑kabhi bukhar

Must Read :बच्चों में बुखार का सिरप लिस्ट

4.Allergy Ki Khansi

Lakshan:

  • Dhool, mitti, thandi hawa se khansi
  • Chheenk aana
  • Naak bahna

Konsi Khansi Mein Konsi Dawa Leni ChahiyeComplete Medicine

Khansi Ka Type Lakshan Common Brand Name Salt / Composition Use
Sukhi Khansi (Dry Cough) Balgam nahi, gale mein kharash Corex DX Dextromethorphan + CPM Khansi dabane ke liye
Benadryl DR Dextromethorphan + Diphenhydramine Raat ki khansi
Chericof‑D Dextromethorphan + CPM Dry cough
Grilinctus Dextromethorphan + CPM Allergy + dry cough
Gili Khansi (Wet Cough) Balgam aata hai Ascoril Expectorant Ambroxol + Guaiphenesin + Salbutamol Balgam nikalne ke liye
Benadryl Expectorant Diphenhydramine + Ammonium Chloride Chest congestion
Bro‑Zedex Bromhexine + Guaiphenesin Wet cough
Ambrodil‑S Ambroxol + Salbutamol Thick balgam
Balgam Wali / Infection Khansi Peela/green balgam, bukhar Mucinac Acetylcysteine Balgam patla kare
Ambrolite Ambroxol Mucus clear
Azithral* Azithromycin Bacterial infection
Augmentin* Amoxicillin + Clavulanic Acid Severe infection
Allergy Ki Khansi Chheenk, naak bahna Cetzine Cetirizine Allergy control
Levocet Levocetirizine Dust allergy
Montek‑LC Montelukast + Levocetirizine Night allergy cough
Allegra Fexofenadine Seasonal allergy
Raat Ki Khansi Sirf raat mein khansi Montek‑LC Montelukast + Levocetirizine Allergy/asthma
Grilinctus Dextromethorphan + CPM Night cough
Bacchon Ki Khansi Age ke hisaab se Alex Junior Dextromethorphan (low dose) Dry cough
Ascoril LS (Paed) Ambroxol + Levosalbutamol Wet cough
Zedex Baby Bromhexine + Guaiphenesin Chest cough
  • Note :
    Ye medicines aam taur par doctors use karte hain, lekin dawa lene se pehle doctor ki salah zaroori hai.

Important Warning

  • Sukhi khansi ki dawa gili khansi mein nahi leni chahiye
  • Antibiotic khud se kabhi na lein
  • Bacchon ko adult medicine na dein

Advice

Har khansi alag hoti hai. Isliye sirf brand dekhkar nahi, pehle khansi ka type samajhna zaroori hai. Sahi dawa sahi time par li jaye, to khansi jaldi theek hoti hai.

Medical Disclaimer

Yeh medicines list sirf general awareness ke liye hai. Kisi bhi dawa ko shuru karne se pehle doctor ya qualified medical professional se salah lena zaroori hai.

 

 

Leave a Comment